Singer :
Krishna
from the Movie Namastey London - 2007, sung by Krishna, Rahat Fateh Ali Khan. The song is composed by Himesh Reshammiya and the lyrics are penned by Javed Akhtar. Discover more from Year songs lyrics...(Rahat Fateh Ali Khan Begins)
Main jahan rahoon,
Main kahin bhi hoon
Teri yaad, saath hai..
(Instrumental Break)
Aa.. aa..
Main jahan rahoon,
Main kahin bhi hoon
Teri yaad, saath hai..
Kisi se kahoon, ke nahi kahoon
Yeh jo dil, ki baat hai
(Krishna Beura Begins)
Kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
Par chhupke iss dil mein tanhayi palti hai
Bas yaad saath hai, teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai, teri yaad saath hai
Main jahan rahoon,
Main kahin bhi hoon
Teri yaad saath hai..
(Instrumental Break)
Kahin toh dil mein yaadon ki,
Ek sooli gadd jaati hai
Kahin har ek tasveer bahut hi,
Dhundli padd jaati hai
Koi nahi duniya ke naye,
Rangon mein khush rehta hai
Koi sab kuch paake bhi,
Ye mann hi mann kehta hai
Kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
Par chhupke iss dil mein tanhayi palti hai
Bas yaad saath hai, teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai
(Instrumental Break)
Kahin toh beetey kal ki jade,
Dil mein hi utar jaati hai
Kahin jo dhaage toote toh,
Malaayein bikhar jaati hai
Koi dil mein jagah nahi,
Baaton ke liye rakhta hai
Koi apni palkon par,
Yaadon ke diye rakhta hai
Kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
Par chhupke iss dil mein tanhayi palti hai
Bas yaad saath hai, teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai, teri yaad saath hai
Tip: You can learn the meanings of Main Jahan Rahoon Lyrics (Teri Yaad Saath Hai) in English/Hindi by hovering over the highlighted word.