Singer :
Kumar Sanu
from the Movie Kaho Naa Pyaar Hai - 2000, sung by Kumar Sanu. The song is composed by Rajesh Roshan and the lyrics are penned by Sawan Kumar Tak. Discover more from Year Romantic songs lyrics...(Kumar Sanu Begins)
Chand sitare phool aur khooshboo
Chand sitare phool aur khooshboo
Ye to saare purane hai
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewane hai
Arey kaali ghatayein barkha saavan, ho..
O kaali ghatayein barkha saavan
Yeh to sab afsaane hai
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewane hai
(Instrumental Break)
Andaaz hai uske naye naye,
Hai naya naya deewanapan, ho..
Andaaz hai uske naye naye,
Hai naya naya deewanapan,
Pehnake taj jawaani ka, hanske laut gaya bachpan
Geet ghazal sab kal ki baatein
O Geet ghazal sab kal ki baatein
Uske naye taraane hai
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewane hai
(Instrumental Break)
Hai roop mein itna saada pan,
Toh kitna sundar hoga mann, ho..
Hai roop mein itna saada pan,
Toh kitna sundar hoga mann
Bin gehne aur singar bina woh to lagti hai dulhan
Kaajal bindiya kangan jhumke, o..
Kaajal bindiya kangan jhumke
Yeh to guzre zamaane hai
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewane hai
Chand sitare phool aur khooshboo,
Ye to saare purane hai
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewane hai
Arey kaali ghatayein barkha saavan
Yeh to sab afsaane hai
Taaza taaza kali khili hai hum uske deewane hai
Tip: You can learn the meanings of Chand Sitare Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.