Udit Narayan

Ye Hum Aa Gaye Hain Kahan Lyrics

Ye Hum Aa Gaye Hain Kahan Lyrics

Singer :

Udit Narayan

from the Movie Veer Zaara - 2004, sung by Lata Mangeshkar, Udit Narayan. The song is composed by Madan Mohan and the lyrics are penned by Javed Akhtar. Discover more from Year songs lyrics...

(Udit Narayan Begins)

Lehraati huyi raahein, khole huye hain baanhein
Ye hum aa gaye hain kahan?

(Lata Mangeshkar Begins)

Palkon pe gehre halke, hai reshmi dhund halke ke
Ye hum aa gaye hain kahan?

Aa.. ye hum aa gaye hain kahan

(Instrumental Break)

Wo dekho zara, parwaton pe ghataayein
Hamari daastaan, haule se sunaaye

Suno toh zara, ye phoolon ki waadi
Hamari hi koi, kahani hai sunaati
Sapnon ke iss nagar mein, yaadon ki rehguzar mein
Ye hum aa gaye hain kahan?
Haan.. ye hum aa gaye hain kahan

(Instrumental Break)

Jo raahon mein hai, rut ne sona bikhera
Sunehra huya, tera mera savera

Zameen so gayi, barf ki chadaron mein
Bas ek aag si, jalti hai do dilon mein
Hawaayein sansanaayein, badan kaanp jaaye
Ye hum aa gaye hain kahan?
Haan.. ye hum aa gaye hain kahan

(Instrumental Break)

Ye barsat bhi, kab thame kaun jaane
Tumhe mill gaye, pyaar ke sau bahaane

Sitaaron ki hai, jaise baraat aayi
Hamare liye, raat yun jagmagaayi
Sapne bhi jhilmilaaye, dil mein diye jalaaye
Ye hum aa gaye hain kahan?
Haan.. ye hum aa gaye hain kahan


Tip: You can learn the meanings of Ye Hum Aa Gaye Hain Kahan Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.


Lyrics provided on Lyricstaal.com are for reference and education purpose only. We don't promote copyright infringement instead, if you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Apple iTunes, Saavn and Gaana.

ADVERTISEMENT