Jaane Kyon Lyrics

Singer :

Lata Mangeshkar

from the Movie Veer Zaara - 2004, sung by Lata Mangeshkar. The song is composed by Madan Mohan and the lyrics are penned by Javed Akhtar. Discover more from Year songs lyrics...

(Lata Mangeshkar Begins)

Jaane kyon, khwaabon ka mausam hai, aur main hoon
Mausam hai, aur main hoon
Jaane kyon, yaadon ki shabnam hai, aur main hoon
Shabnam hai, aur main hoon

Yaadein laayi hain, khushiyaan bhi, aansu bhi
Jaane kyon, ik aisa sangam hai, aur main hoon
Sangam hai, aur main hoon

(Instrumental Break)

Barse jo rang itne saare, rangeen huye sab nazaare
Barse jo rang itne saare, rangeen huye sab nazaare
Lekin mera dil kahin bhi, lagta nahin bin tumhaare
Tumko, bas tumko, dil dhoondhe dil maange

Jaane kyon, har lamha ye sitam hai, aur main hoon
Ye sitam hai, aur main hoon
Jaane kyon, khwaabon ka mausam hai, aur main hoon
Mausam hai, aur main hoon

(Instrumental Break)

Ye waadi ab so gayi hai, kohre mein hi kho gayi hai
Ye waadi ab so gayi hai, kohre mein hi kho gayi hai
Saari fiza saans roke, gumsum si ab ho gayi hai
Saari duniya mein, ab koi nahin jaise

Jaane kyon bas mera humdum hai, aur main hoon
Humdum hai, aur main hoon
Jaane kyon, yaadon ki shabnam hai, aur main hoon
Shabnam hai, aur main hoon

Yaadein laayi hain, khushiyaan bhi, aansu bhi
Jaane kyon, ik aisa sangam hai, aur main hoon
Sangam hai, aur main hoon

Lalala.. lalala.. aur main hoon..


Tip: You can learn the meanings of Jaane Kyon Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.


Lyrics provided on Lyricstaal.com are for reference and education purpose only. We don't promote copyright infringement instead, if you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Apple iTunes, Saavn and Gaana.

ADVERTISEMENT