Singer :
Udit Narayan
from the Movie Papa Kehte Hain - 1996, sung by Udit Narayan. The song is composed by Rajesh Roshan and the lyrics are penned by Sameer. Discover more from Year Romantic songs lyrics...(Udit Narayan Begins)
Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
Raste mein hai uska ghar
Kal subah dekha toh, baal banati woh
Khidki mein aayi nazar
Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
Raste mein hai uska ghar
Kal subah dekha toh, baal banati woh
Khidki mein aayi nazar
Ghar se nikalte hi..
(Interlude)
Masoom chehra, neechi nigahein
Bholi si ladki, bholi adaayein
Na apsara hai, na woh pari hai
Lekin ye uski, jaadugari hai
Deewana kar de woh, ek rang bhar de woh
Sharma ke dekhe jidhar
Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
Raste mein hai uska ghar
(Interlude)
Karta hoon uske, ghar ke main phere
Hansne lage hain, ab dost mere
Sach keh raha hoon, uski kasam hai
Main phir bhi khush hoon, bas ek gham hai
Jise pyaar karta hoon, main jispe marta hoon
Uso nahi hai khabar
Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
Raste mein hai uska ghar
(Interlude)
Ladki hai jaise, koi paheli
Kal jo mili mujhko, uski saheli
Maine kaha usko, jaa ke ye kehna
Achcha nahi hai, yun door rehna
Kal shaam nikle woh, ghar se tehelne ko
Milna jo chaahe agar
Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
Raste mein hai uska ghar
Kal subah dekha toh, baal banati woh
Khidki mein aayi nazar
Tip: You can learn the meanings of Ghar Se Nikalte Hi Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.