Singer :
Lucky Ali
from the Movie Kaho Naa Pyaar Hai - 2000, sung by Lucky Ali. The song is composed by Rajesh Roshan and the lyrics are penned by Ibrahim Ashk. Discover more from Year Romantic songs lyrics...(Lucky Ali Begins)
Kyun chalti hai pawan, kyun jhoome hai gagan
Kyun machalta hai mann, na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum
Kyun aati hai bahar, kyun lut-ta hai karaar
Kyun hoya hai pyaar, na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum
(Instrumental Break)
Yeh madhoshiyaan yeh tanhaaiyaan
Tasabbur mein hai kiski parchaaiyan
Yeh bheega samaa umange jawaan
Mujhe ishq leja raha hai kahan
Kyun gum hai har disha, kyun hota hai nasha
Kyun aata hai mazaa, na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum
(Instrumental Break)
Dhadakta bhi hai, tadapta bhi hai
Yeh dil kyun achaanak behekta bhi hai
Mehekta bhi hai chehakta bhi hai
Yeh dil kya wafa ko samajhta bhi hai
Kyun millti hai nazar, kyun hota hai asar
Kyun hoti hai sahar, na tum jaano na hum…
Na tum jaano na hum
Kyun chalti hai pawan, kyun jhoome hai gagan
Kyun machalta hai mann, na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum
Kyun aati hai bahar, kyun lut-ta hai karaar
Kyun hoya hai pyaar, na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum
Tip: You can learn the meanings of Na Tum Jaano Na Hum Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.