Lata Mangeshkar

Woh Bhooli Daastan Lyrics

Woh Bhooli Daastan Lyrics

Singer :

Lata Mangeshkar

from the Movie Sanjog - 1961, sung by Lata Mangeshkar. The song is composed by Madan Mohan and the lyrics are penned by Rajendra Krishan. Discover more from Year songs lyrics...

(Lata Mangeshkar Begins)

Woh bhooli dastaan, lo phir yaad aa gayi

Woh bhooli daastan, lo phir yaad aa gayi
Nazar ke saamne, ghata si chhaa gayi
Nazar ke saamne, ghata si chhaa gayi

Woh bhooli daastan, lo phir yaad aa gayi

(Interlude)

Kahan se phir chale aaye, ye kuch bhatke huye saaye
Ye kuch bhoole huye nagme, jo mere pyaar ne gaaye
Ye kuch bichdi huyi yaadein, ye kuch toote huye sapne
Paraye ho gaye toh kya, kabhi ye bhi toh the apne
Na jaane kyun inn se milkar, nazar sharma gayi

Woh bhooli daastan, lo phir yaad aa gayi

(Interlude)

Ummeedon ke haseen mele, tamannao ke woh rele
Nigaahon ne nogaahon se, ajab se khel kuch khele
Hawa mein zulf lehraayi, nazar pe bekhudi chhaayi
Khule the dil ke darwaaze, mohabbat bhi chali aayi
Tamannao ki duniya par, jawani chhaa gayi

Woh bhooli daastan, lo phir yaad aa gayi

(Interlude)

Bade rangeen zamaane the, taraane hi taraane the
Magar ab poochta hai dil, woh dil the ya fasaane the
Waqt ek yaad hai baaki, bas ek fariyaad hai baaki
Woh khushiyaan lutt gayi lekin, dil-e-barbaad hai baaki
Kahan thi zindagi thi meri, kahan pe aa gayi

Woh bhooli daastan, lo phir yaad aa gayi
Nazar ke saamne, ghata si chhaa gayi
Nazar ke saamne, ghata si chhaa gayi

Woh bhooli daastan, lo phir yaad aa gayi
Woh bhooli daastan, lo phir yaad aa gayi


Tip: You can learn the meanings of Woh Bhooli Daastan Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.


Lyrics provided on Lyricstaal.com are for reference and education purpose only. We don't promote copyright infringement instead, if you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Apple iTunes, Saavn and Gaana.

ADVERTISEMENT