Singer :
Udit Narayan
from the Movie Mohabbatein - 2000, sung by Ishaan, Jaspinder Narula, Manohar Shetty, Shweta Pandit, Sonali Bhatwadekar, Udbhav, Udit Narayan. The song is composed by Jatin Pandit, Lalit Pandit and the lyrics are penned by Anand Bakshi. Discover more from Year Romantic songs lyrics...(Udit Narayan Begins)
Soni soni ankhiyon waali
Dil de ja tu, ya de ja tu gaali
Soni soni ankhiyon waali
Dil de ja tu, ya de ja re humko tu gaali
Hum tere deewane hain, hum aashiq mastaane hain
Hum tere deewane hain, hum aashiq mastaane hain
(Jaspinder Narula Begins)
Jhoothi jhoothi, batiyon waale
Bholi surat, dil ke hain kaale
Jhoothi jhoothi, batiyon waale
Bholi surat, dil ke hain, dil ke yeh kaale
Yeh aashiq lutt jaane hain, dil sab de tutt jaane hain
Yeh aashiq lutt jaane hain, dil sab de tutt jaane hain
(Instrumental Break)
Jaa kudiye (aaha) jo kar le (aaha),
Poora badan tera rang diya
O mundeya (aaha) vaada raha (aaha),
Sooli pe jo na tujhe tang diya
Main sooli pe chad jawaan, tu bol abhi mar jawaan
Main tujhse agar dar jawaan, ho dil naam tere kar jawaan
Yaad rakhna mera kehna, yeh dil ek din mil jaane hain
Hum tere deewane hain, hum aashiq mastaane hain
Yeh aashiq lutt jaane hain, dil sab de tutt jaane hain
(Instrumental Break)
Hmm.. kyun mujhse door khadi hai,
Badi masti tujhe chadhi hai
Kyun mujhse door khadi hai,
Dil ke nazdeek badi hai
Aa lag ja gale, tu kisi bahaane se
Bahaane se, bahaane se
Badi masti tujhe chadhi hai,
Har ladki door khadi hai
Main aa gayi phir bhi
Tere bulaane se, bulaane se
Soch kar tha tujhe aana, aa kar wapas na jaana
Hum tere deewane hain, hum aashiq mastaane hain
Yeh aashiq lutt jaane hain, dil sab de tutt jaane hain
(Instrumental Break)
Ghum ho ya koi khushi, purva ka jhonka hai
Ik aaye ik jaayega, kyun dil ko roka hai
Is dil ko humne nahin, humein dil ne roka hai
Koi bata de zara, kya sach, kya dhokha hai
Yeh duniya saari, badi hai pyari,
Yehi ik sach hai, yeh sab rang bade suhaane hain
Hum tere deewane hain, hum aashiq mastaane hain
Yeh aashiq lutt jaane hain, dil sab de tutt jaane hain
Soni soni ankhiyon waali
Dil de ja tu, ya de ja tu gaali
Jhoothi jhoothi, batiyon waale
Bholi surat, dil ke hain, dil ke yeh kaale
Hum tere deewane hain, hum aashiq mastaane hain
Yeh aashiq lutt jaane hain, dil sab de tutt jaane hain
Hum tere deewane hain, hum aashiq mastaane hain
Yeh aashiq lutt jaane hain, dil sab de tutt jaane hain
Tip: You can learn the meanings of Soni Soni Akhiyon Waali Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.