Udit Narayan

Aankhein Khuli Ho Ya Ho Bandh Lyrics

Aankhein Khuli Ho Ya Ho Bandh Lyrics

Singer :

Udit Narayan

from the Movie Mohabbatein - 2000, sung by Ishaan, Lata Mangeshkar, Manohar Shetty, Shweta Pandit, Sonali Bhatwadekar, Udbhav, Udit Narayan. The song is composed by Jatin Pandit, Lalit Pandit and the lyrics are penned by Anand Bakshi. Discover more from Year songs lyrics...

(Shahrukh Khan Dialogue)

Ek ladki thi deewani si,
Ek ladke pe woh marti thi
Nazrein jhuka ke, sharma ke, galiyon se guzarti thi
Chori chori, chupke chupke, chithiyaan likha karti thi
Kuch kehna tha shayad usko, jaane kisse darti thi
Jab bhi milti thi mujhse, mujhse poocha karti thi
Pyaar kaise hota hai, ye pyaar kaise hota hai
Aur main sirf yahi keh paata tha

(Udit Narayan Begins)

Aankhein khuli ho ya ho band,
Deedar unka hota hai
Kaise kahoon, main o yaara,
Yeh pyaar kaise hota hai

Hey.. aankhein khuli ho ya ho band,
Deedar unka hota hai
Kaise kahoon, main o yaara,
Yeh pyaar kaise hota hai

Aankhein khuli ho ya ho band,
Deedar unka hota hai
Kaise kahoon, main o yaara,
Yeh pyaar kaise hota hai

(Instrumental Break)

Aaj hi yaaron kisi pe, mar ke dekhenge hum
Pyaar hota hai yeh kaise, karke dekhenge hum

Kisi ki yaadon mein khoye huye,
Khwaabon ko humne saja liya
Kisi ki baahon mein soye huye,
Apna use bana liya

Aye yaar pyaar mein koi

Aye yaar pyaar mein koi,
Na jaagta na sota hai
Kaise kahoon main o yaara,
Yeh pyaar kaise hota hai

(Instrumental Break)

Kya hai yeh jaadu hai koi, bas jo chal jaata hai
Tod ke pehre hazaaron, dil nikal jaata hai

Door kahin, aasmanon par
Hote hain yeh saare faisle
Kaun jaane, koi humsafar
Kab kaise kahan mile

Jo naam dil pe ho likha

Jo naam dil pe ho likha,
Ikraar usi se hota hai
Kaise kahoon main o yaara,
Yeh pyaar kaise hota hai

Aankhein khuli ho ya ho band,
Deedar unka hota hai

Aankhein khuli ho ya ho band,
Deedar unka hota hai
Kaise kahoon main o yaara,
Yeh pyaar kaise hota hai


Tip: You can learn the meanings of Aankhein Khuli Ho Ya Ho Bandh Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.


Lyrics provided on Lyricstaal.com are for reference and education purpose only. We don't promote copyright infringement instead, if you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Apple iTunes, Saavn and Gaana.

ADVERTISEMENT