from the Movie Delhi - 6 - 2009, sung by AR Rahman. The song is composed by A. R. Rahman and the lyrics are penned by Prasoon Joshi. Discover more Romantic songs lyrics...
(A R Rahman Begins)
Rehna tu, hai jaisa tu
Thoda sa dard tu, thoda sukoon
Rehna tu, hai jaisa tu
Dheema dheema jhonka,
Ya phir junoon
Thoda sa resham, tu humdum
Thoda sa khurdura
Kabhi tu add jaaye, ya ladd jaaye
Ya khusbu se bhara
Tujhe badalna, na chahoon
Ratti bhar bhi sanam
Bina sajawat, milawat
Na zyaada, na hi kam
Tujhe chahun, jaisa hai tu
Mujhe teri baarish mein
Bheegna hai, ghul jaana hai
Tujhe chahun, jaisa hai tu
Mujhe teri lapat mein
Jalna, raakh ho jaana hai
Tu zakhm de agar,
Marham bhi aa kar tu lagaaye
Zakhm pe bhi mujhko pyaar aaye
Dariya, o.. dariya
Doob ne de, mujhe dariya
Doob ne de, mujhe dariya
Rehna tu, hai jaisa tu
Thoda sa dard tu, thoda sukoon
Rehna tu, hai jaisa tu
Dheema dheema jhonka,
Ya phir junoon
(Instrumental Break)
Haath thaam chalna ho
Toh dono ke daayein haath sang kaise
Haath thaam chalna ho
Toh dono ke daayein haath sang kaise
Ek daayaan hoga, ek baayaan hoga
Thaam le, haath ye thaam le
Chalna hai sang, thaam le
Rehna tu, hai jaisa tu
Thoda sa dard tu, thoda sukoon
Rehna tu.., hai jaisa tu
Dheema dheema jhonka,
Ya phir junoon
Thoda sa resham, tu humdum
Thoda sa khurdura
Kabhi tu add jaaye, ya ladd jaaye
Ya khusbu se bhara
Tujhe badalna, na chahoon
Ratti bhar bhi sanam
Bina sajawat, milawat
Na zyaada, na hi kam
Tujhe chahun, jaisa hai tu
Mujhe teri baarish mein
Bheegna hai, ghul jaana hai
Tujhe chahun, jaisa hai tu
Mujhe teri lapat mein
Jalna, raakh ho jaana hai
Tip: You can learn the meanings of Rehna tu Lyrics (Hai Jaisa Tu) in English/Hindi by hovering over the highlighted word.