Singer :
Sadhna Sargam
from the Movie Mohra - 1994, sung by Pankaj Udhas, Sadhna Sargam. The song is composed by Viju Shah and the lyrics are penned by Anand Bakshi. Discover more from Year Romantic songs lyrics...(Pankaj Udhas Begins)
Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koi kiya shringaar, phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho
Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koi kiya shringaar, phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho
(Sadhana Sargam Begins)
Mann mein pyaar bhara, aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara, tum toh mere priyavar ho
Tumhi toh mere priyavar ho
(Instrumental Break)
Shringaar tera yovan, yovan hi tera gehna
Shringaar tera yovan, yovan hi tera gehna
Tu taazgi phoolon ki, kya saadgi ka kehna
Udde khushboo jab chale tu
Udde khushboo jab chale tu,
Bole toh baje sitaar
Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koi kiya shringaar, phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho
(Instrumental Break)
Saari duniya harjaayi, tere pyaar mein hai sachchaayi
Saari duniya harjaayi, tere pyaar mein hai sachchaayi
Is liye chhodd ke duniya, teri ore kheenchi chali aayi
Thi patthar tune chhoo kar
Thi patthar tune chhoo kar,
sona kar diya khara
Mann mein pyaar bhara, aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara tum toh mere priyavar ho
Tumhi toh mere priyavar ho
(Instrumental Break)
Tera ang sachcha sona, muskaan sachche moti
Tera ang sachcha sona, muskaan sachche moti
Tere honth hai madhushaala, tu roop ki hai jyoti
Teri soorat jaise moorat
Teri soorat jaise moorat,
Main dekhoon baar baar
Na kajre ki dhaar, na motiyon ke haar
Na koi kiya shringaar, phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho
Mann mein pyaar bhara, aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara, tum toh mere priyavar ho
Tumhi toh mere priyavar ho
Tip: You can learn the meanings of Na Kajre Ki Dhaar Lyrics Duet in English/Hindi by hovering over the highlighted word.