Nishayar Rapper

Voice Of Hiphop Rap Lyrics – Nishayar

Voice Of Hiphop Rap Lyrics – Nishayar

Singer :

Nishayar Rapper

from the Movie Latest Hindi Rap, sung by Nishayar. The song is composed by Nishayar and the lyrics are penned by Nishayar. Discover more from Year , , songs lyrics...

Voice Of Hiphop Rap Lyrics – Nishayar from Latest Hindi Rap sung by Nishayar. Learn, Voice Of Hiphop Rap Lyrics – Nishayar meaning in English/Hindi

Song : Voice Of Hiphop
Singer: Nishayar
Lyrics: Nishayar
Music : Nishayar
Cast : Nishayar
Lable : Nishayar

Voice Of Hiphop Rap Lyrics – Nishayar

Suna Maine Jitno Ko Baat Mein Kuch Khaas Nahi
Dum Dekho Baat Mein To Baato Mein Ehsaas Nahi
Kare Bas Badbad Khudpe Vishwas Nahi
Nakli Bahot Inhe Deta Koi Ghaas Nahi
Dekhte Hi Dekhte Beta Maine Sikh Liya
Gaana Pehli Baar Aise Hi To Khich Liya
Roka Nahi Thakaa Nahi Bas Likhta Chala Gaya
Bhai Tera Wo Jisne Shabdo Ko Sangeet Diya
Ujaalo Ko Chhodke Raato Ko Jaaga Hu
Sapno Ke Piche Main Teji Se Bhaaga Hu
Tutega Nahi Beta Aisa Main Dhaaga Hu
Main Hu Nishayar Na Badshah Na Raaga Hu
Asli Hu Asli Na Nakli Samaj Na
Baate Kuch Aisi Jo Ayengi Samaj Na
Jo Samaje Ga Samajo Baaki Se Farak Na
Rap Se Hai Pyaar Tere Bhai Ko Tharak Na
Kutto Ko Palta Nahi Palta Main Sher Hu
Meri Kali Karo Ki Main Shabdo Ka Dher Hu
Pagal Main Pagal Sanki Main Sanki
Lekin Lena Na Panga Beta Bawali Period Hu
Kuch Chhota Mota Dhua Nahi Puri Chilam Hu
Samjoge Kaise Mujhe Aise Filam Hu
Ghanta Na Ab Jo Bich Mein Ayega
Karu Apne Mann Ki Itna Besharam Hu
Jo Saath Khade The Aaj Wo Bhi Hai Laapta
Akele Hi Zela Maine Jo Bhi Aayi Aapda
Aaj Unhe Lagta Hai Raasta Haseen Hai
Kal Tak Bole Saare Raasta Kharab Tha
Success Ko Dekh Ke Call Milate Hai
Muse Ko Dekh Ke Doom Ye Hilate Hai
Mehnat Na Dekhe Bas Upari Dikhawa
Bole Bhai Baitho Tumhe Halwa Khilate Hai
250 Ka Mic Android Wala Phone Hai
Gaana Sun Ke Sabhi Bole Abe Ye Kon Hai
Mana Main Hu Shayar Abhi Bana Rapper
Ab Jo Bana Hu Nishayar Ka Zone Hai
Nishayar Ka Zone Hai
Ab Jo Bana Hu Nishayar Ka Zone Hai

Dara Nahi Logo Se Kamiya Ginate The
Khud Saale Dumb Par Mujhko Sikhate The
Tujhse Na Hoga Har Baat Bata The
Padi Lakdi Bin Matlab Ghusate The
Jaat Hu Insaan Aur Kaam Se Hu Rakshash
Tujhe Lage Zoothi Lekin Mere Liye Baat Sach
Thi Kabhi Beef Nahi Musibate Beef Nahi
Unko Chabaya Kyuki Main Tha Rakshash
Hath Tere Saamne Se Aane De Tufaan Ko
Shanti Se Baitha Jagne De Insaan Ko
Labzo Mein Aag Aur Kill Karu Baat Se
Mehfil Se Bhagau Bin Bulaye Mehmaan Ko
Duniya Ye Beta Badi Aadamkhor Hai
Saamne Mithai Lekin Dil Mein Chor Hai
Ye Aisi Padhai Koi Na Sikhayega
Na Mohalle Mein Beta Zooti Baato Ka Hi Shor Hai
Rap Iss Duniya Mein Kalakaar Bahot Hai
Tu Chamka To Thik Varna Fir Maut Hai
Itna Asan Nahi Shabdo Se Khelna
Thoda Sa Bhi Fisale To Lage Headshot Hai
Zindagi Mein Bas Baat Yahi Sikhi Hai
Bina Paiso Ke Ye Zindagi Fiki Hai
Sab Kuch Mehnga Milta Yaha Par
Sala Yahi Koi Cheez Jo Milti Free Ki
Kardi Hai Ghoshna Upar Main Jaunga
Hip-Hop Ka Scene Badal Ke Dikhaunga
Pyada Nahi Game Ka Main To Vajir Hu
Ek Ke Baad Ek Check Mate Deta Jaunga
Meri Ye Awam Inka Dil Se Hai Shukriya
Jamin Se Uthake Falak Pe Bitha Diya
Jimmedari Meri Main Entertain Karu
Aam Aadmi Ko Jo Kalakaar Bana Diya
Kal Ka Ladka Aaj Kamiyaab Hai
Aawaz Pe Hai Dum Aur Chehre Pe Nakab Hai
Underground Boy Hu Just Slum Boy Hu
And That Guy Jo Deta Jawab Hai
And That Guy Jo Deta Jawab Hai

Baat Kuch Zoot Nahi Boli Sachchai Hai
Industry Mein Issi Baat Ki Ladai Hai
Zoot Ke Sahare Sab Growth Pana Chahte Hai
Hip-Hop Na Banao Iss Baat Mein Bhalai Hai
Aadmi Ko Aadmi Hota Yahi To Sahara Hai
Har Koi Yaha Apni Mehnat Ka Hi Kha Raha Hai
Pyaar Baato Pyaar Nafrat Ko Side Karo
To Hit Karna Hip-Hop Ko Jalana Hai
Hip-Hop Ki Salami Bahot Zaruri Hai
Mitao Sab Ego Aur Gurur Ye
Apne Hi Apno Se Dur Lage Hone Hai
Samaj Nahi Aata Ki Kaisi Majboori Hai
Samaj Nahi Aata Ki Kaisi Majboori Hai


Tip: You can learn the meanings of Voice Of Hiphop Rap Lyrics – Nishayar in English/Hindi by hovering over the highlighted word.


Lyrics provided on Lyricstaal.com are for reference and education purpose only. We don't promote copyright infringement instead, if you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Apple iTunes, Saavn and Gaana.

ADVERTISEMENT