Tu Kuja Lyrics

Singer :

Sunidhi Chauhan

from the Movie Highway, sung by Sunidhi Chauhan. The song is composed by A. R. Rahman and the lyrics are penned by Irshad Kamil. Discover more from Year songs lyrics...

(Sunidhi Chauhan Begins)

Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Tu kahaan main kahaan
Tu kahaan main kahaan

Kripa drishti mujh pe bhi ho maharaja
Anginat chintaao ne ghera
Aastha hai jo vyatha hai, woh harega tu
Sun meri bhi, koi na mera

Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Tu kahaan main kahaan
Tu kahaan main kahaan

Hain bhay bhyankar, path mein kank-kad maharaja
Mujh adham se kyun tune mukh phera
Main dharatal se pukaroon, haath de apna
Sun meri bhi, koi na mera

Nirdhano ka dheer tu hai, nirbalon ka bal,
Sun meri bhi, koi na mera, o..o…
Main jagat mein lapata, mera tu pata
Main kahaan, batlaa… ?
Main ekaaki, de daya ki bheekh raja
Hai adhar mein, shwaas bhi mera

Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Tu kahaan main kahaan
Tu kahaan main kahaan

Main Kahaan, kahaan
Main Kahaan, kahaan

Ghanghor hai andhiyaare,
Sab roothe hai ujiyaare
Tan toote, mann haare
Tan toote, mann haare

Kismat ke doobe taare
Koi kiran dikhla re
Hai soone path saare
Hai soone path saare
Main ekaaki, de daya ki bheekh raja
Kya tujhe abhaas bhi mera

Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Ho.. ho.. ho…
Tu kahaan, main kahaan
Tu kahaan…

 

 

 


Tip: You can learn the meanings of Tu Kuja Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.


Lyrics provided on Lyricstaal.com are for reference and education purpose only. We don't promote copyright infringement instead, if you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Apple iTunes, Saavn and Gaana.

ADVERTISEMENT