Mahendra Kapoor

Tere Pyar Ka Aasra Chahta Hoon Lyrics

Tere Pyar Ka Aasra Chahta Hoon Lyrics

Singer :

Mahendra Kapoor

from the Movie Dhool Ka Phool - 1959, sung by Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor. The song is composed by N. Dutta and the lyrics are penned by Sahir Ludhianvi. Discover more from Year songs lyrics...

(Mahendra Kapoor Begins)

Tere pyaar ka,
Aasra chaahta hoon

Tere pyaar ka,
Aasra chaahta hoon
Wafa kar raha hoon,
Wafa chahta hoon

Tere pyaar ka,
Aasra chaahta hoon
Wafa kar raha hoon,
Wafa chahta hoon

(Lata Mangeshkar Begins)

Haseeno se aehade,
Wafa chaahte ho

Haseeno se aehade,
Wafa chaahte ho
Bade nasamajh ho,
Ye kya chaahte ho

Bade nasamajh ho..

(Instrumental Break)

Tere narm baalon mein,
Taare saja ke
Tere shaukh kadmon mein,
Kaliyaan bicha ke

Mohabbat ka chota sa,
Mandir bana ke..

Mohabbat ka chota sa,
Mandir bana ke
Tujhe raat din, tujhe raat din,
Poojna chahta hoon

Wafa kar raha hoon,
Wafa chahta hoon
Tere pyaar ka..

(Instrumental Break)

Zara soch lo,
Dil lagaane se pehle
Ke khona bhi padta hai,
Paane se pehle

Ijaazat toh le lo,
Zamaane se pehle

Ijaazat toh le lo,
Zamaane se pehle
Ke tum husn ko, ke tum husn ko
Poojna chaahte ho

Bade nasamajh ho, ye kya chaahte ho
Bade nasamajh ho..

(Instrumental Break)

Kahan tak jiyein,
Teri ulfat ke maare
Gujarti nahi, zindagi bin sahare

Bahut ho chuke door,
Reh kar ishaare

Bahut ho chuke door,
Reh kar ishaare
Tujhe paas se, tujhe paas se
Dekhna chaahta hoon

Wafa kar raha hoon,
Wafa chahta hoon
Tere pyaar ka..

(Instrumental Break)

Mohabbat ki dushman hai,
Saari khudaayi
Mohabbat ki taqdeer,
Mein hai judaai

Jo sunte nahi hain,
Dilon ki duhaayi

Jo sunte nahi hain,
Dilon ki duhaayi
Unhi se mujhe, unhi se mujhe
Maangna chaahte ho

Bade nasamajh ho, ye kya chaahte ho
Bade nasamajh ho..

(Instrumental Break)

Dupatte ke kone ko,
Mooh mein daba ke
Zara dekh lo,
Iss taraf muskura ke

Mujhe loot lo,
Mere nazdeek aa ke

Mujhe loot lo,
Mere nazdeek aa ke
Ke main maut se, ke main maut se
Khelna chaahta hoon

Wafa kar raha hoon,
Wafa chahta hoon
Tere pyaar ka..

(Instrumental Break)

Galat saare daawe,
Galat saari kasmein
Nibhenge yahan kaise,
Ulfat ki rasmein

Yahan zindagi hai,
Riwaazon ke bas mein

Yahan zindagi hai,
Riwaazon ke bas mein
Riwaazon ko tum, riwaazon ko tum
Todd na chaahte ho

Bade nasamajh ho, ye kya chaahte ho
Bade nasamajh ho..

(Instrumental Break)

Riwaazon ki parwah na,
Rasmon ka darr hai
Teri aankh ke,
Faisle pe nazar hai

Riwaazon ki parwah na,
Rasmon ka darr hai
Teri aankh ke,
Faisle pe nazar hai

Bala se agar raasta,
Purkhatar hai

Bala se agar raasta,
Purkhatar hai
Main iss haath ko, main iss haath ko
Thaam na chaahta hoon

Wafa kar raha hoon,
Wafa chahta hoon
Tere pyaar ka..


Tip: You can learn the meanings of Tere Pyar Ka Aasra Chahta Hoon Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.


Lyrics provided on Lyricstaal.com are for reference and education purpose only. We don't promote copyright infringement instead, if you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Apple iTunes, Saavn and Gaana.

ADVERTISEMENT