Singer :
Suhaas Shetty
from the Movie Turning 30 - 2011, sung by Suhaas Shetty. The song is composed by Siddharth Haldipur, Suhas and the lyrics are penned by Kumaar. Discover more from Year Motivational songs lyrics...(Suhaas Shetty Begins)
Sapney, khile huye rangon se
Udde huye patango se,
Ambar se hai oonche
Tukde, bujhe huye suraj ke
Abhi bhi hai chamke,
Roshan hai ummeedein
Dees bahane aah ke
Saare armaan neendon se jaage hai
Ab toh peeche kuch nahi
Jinhe milna hai manzar, woh aage hai
Khud ko dhoonda yahan doosron mein
Bas bhatakte rahe faaslon mein
Waqt banke leher beh gaya
Jaate jaate magar keh gaya
Jise dhoondte hai woh,
Khushi apne andar hi rehti hai
Hai khud mein jahan tera
Zindagi bhi humse ye kehti hai
Ab hai chehra naya manzilon ka
Ab safar hai naye silsilon ka
Humsafar banke ye honsla
Nayi disha mein kahin le chala
Mila hai jo raasta,
Inn kadmon mein chalne ki khwaahish hai
Jinhe dekha door se,
Unn lamho ko choone ki koshish hai
Sapney, khile huye rangon se
Udde huye patango se,
Ambar se hai oonche
Tukde, bujhe huye suraj ke
Abhi bhi hai chamke,
Roshan hai ummeedein
Dees bahane aah ke
Saare armaan neendon se jaage hai
Ab toh peeche kuch nahi
Jinhe milna hai manzar, woh aage hai
Tip: You can learn the meanings of Sapney Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.