Singer :
Rituraj
from the Movie Bangistan - 2015, sung by Rituraj. The song is composed by Ram Sampath and the lyrics are penned by Puneet Krishna. Discover more from Year Devotional songs lyrics...(Rituraj Mohanty Begins)
Mujhko kuch bhi pata nahi tha,
Waqt bada hi achha tha
Mera koi dharm nahin tha,
Jab main chota baccha tha
Phir ek mazhab milte hi,
Mera bachpan chhoot gaya
Dooje dharam ka dost wo mera,
Us se rishta toot gaya
Wo zinda hai ya mar gaya,
Uska koi zikr nahin
Nahin Ishwar Maula mera,
Mera Maula Ishwar nahin
Nahin Ishwar Maula mera,
Mera Maula Ishwar nahin
Allah hoo, Allah hoo
Hey Ram Ram Ram
Allah hoo, Allah hoo
Hey Ram Ram Ram
(Instrumental Break)
Jung ki taiyyari mein hoon,
Geeta Quran padh ke
Jo waqt bach gaya wo main,
Kaatunga tujhse lad ke
Meri to bas ye fitrat,
Hathiyaar main dharunga
Jannat ho ya Jahannum,
Vyaapar main karunga
Hogi ye duniya khoobsurat,
Mujhko toh kadar nahin
Nahin Ishwar Maula mera,
Mera Maula Ishwar nahin
Nahin Ishwar Maula mera,
Mera Maula Ishwar nahin
Tum mein, hum mein
Har aadam mein, har khushi mein
Ranj-o-gham mein
Ghunghroo mein, payal ki cham mein
Sajni mein, uske baalam mein
Tu hi tu hai, tu hi tu hai
Tu hi tu hai, tu hi tu hai
Din raat padhun, wo qalma hai
Tu Dukhtar hai, tu hi Maa hai
Meri rooh toh aisi choomi hai
Mera naam aaj se, Roomi hai
Tu hai toh sab hai bhara bhara
Tu hai fikar nahin
Nahin Ishwar Maula mera,
Mera Maula Ishwar nahin
Nahin Ishwar Maula mera,
Mera Maula Ishwar nahin
Allah hoo, Allah hoo
Hey Ram Ram Ram
Allah hoo, Allah hoo
Hey Ram Ram Ram
Allah hoo, Allah hoo
Hey Ram Ram Ram
Allah hoo, Allah hoo
Hey Ram Ram Ram
Tip: You can learn the meanings of Maula Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.