Masoom Sa Lyrics

Singer :

Sukhwinder Singh

from the Movie Madaari - 2016, sung by Sukhwinder Singh. The song is composed by Inder Bawra, Sunny Bawra and the lyrics are penned by Irshad Kamil. Discover more from Year songs lyrics...

(Sukhwinder Singh Begins)

Paalne mein chand utra, khoobsurat khwaab jaisa
Goud mein usko utthaata, toh mujhe lagata tha waisa

Saara jahaan mera huya, saara jahaan mera huya
Subah ki woh pehli duaa, ya phool resham ka..
Masoom sa, masoom sa, mere aas paas tha
Masoom sa, mere aas paas tha, masoom sa
Ho.. masoom sa

(Instrumental Break)

Ek kamra tha magar, saara zamana tha wahan
Khel bhi the, aur khushi thi, dostana tha wahan
Chaar deewaron mein rehti thi, hazaaron mastiyaan
The wahin patwaar bhi, sagar bhi the aur kashtiyaan
The wahin patwaar bhi, sagar bhi the aur kashtiyaan

Meri toh woh pehchaan tha, meri toh woh pehchaan tha
Ya yoon kaho ki jaan tha, woh chand aangan ka..
Masoom sa, masoom sa, mere aas paas tha
Masoom sa, mere aas paas tha, masoom sa
Haan masoon sa..

(Instrumental Break)

Meri ungli ko pakad woh, chaal chalta sheher mein
Zindagi ki be-reham si, dhoop mein, dopahar mein
Main sunaata tha use, afsaane rangeen shaam ke
Taaki woh chalta rahe, chalta rahe aur na thake
Taaki woh chalta rahe, chalta rahe aur na thake

Na manzilon ka tha pata, na manzilon ka tha pata
Thi zindagi ek raasta woh, saath har pal tha..
Masoom sa, masoom sa, mere aas paas tha
Masoom sa, mere aas paas tha, masoom sa
Haan masoom sa..


Tip: You can learn the meanings of Masoom Sa Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.


Lyrics provided on Lyricstaal.com are for reference and education purpose only. We don't promote copyright infringement instead, if you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Apple iTunes, Saavn and Gaana.

ADVERTISEMENT