Shreya Ghoshal

Maine Hawa Ke Paron Pe Lyrics

Maine Hawa Ke Paron Pe Lyrics

Singer :

Shreya Ghoshal

from the Movie Mere Baap Pehle Aap - 2008, sung by Shreya Ghoshal, Udit Narayan. The song is composed by Vidyasagar and the lyrics are penned by Sameer. Discover more from Year songs lyrics...

(Udit Narayan Begins)

Maine hawa ke paron pe likha hai
Dewaane dil ka fasaana
Tu ne padha ke nahin jaan-e-jaana
Milke mujhe batlaana

Phoolon mein, taaron mein
Saare nazaaron mein
Aankhon ne dekha hai, chehra tera

Maine hawa ke paron pe likha hai
Dewaane dil ka fasaana
Tu ne padha ke nahin jaan-e-jaana
Milke mujhe batlaana

(Instrumental Break)

Maine khayalon ka jahaan basaaya
Raaton ko khwabon mein tujhe chupaaya
Mann ke dareecho mein tujhe sajaya
Jaane tu jaane na

(Shreya Ghoshal Begins)

Yaadon ki maine tasveer banayi
Tujhse kahin na har baath chupaayi
Sehti rahi chup chap judaai
Maane tu maane na

Tere hi jaab ki khili khili,
Khili hai chandini
Tere shabaab ki saji saji,
Saji hai ragini

Kya karoon, kya karoon
Jeene na deti hai teri ada

Maine hawa ke paron pe likha hai
Dewaane dil ka fasaana
Tu ne padha ke nahin jaan-e-jaana
Milke mujhe batlaana

(Instrumental Break)

Itni haseen qaaynaat hogi
Dilkash badi ye raat hogi
Socha nahin tha mulakaat hogi
Main toh jaan-e-jaan

Masti mein dooba hai shama sharaabi
Hone laga aalam gulabi
Aye na chain kahin, zara bhi
Behke mere armaan

Raha kareeb bhi, zara zara
Zara sa phaasla
Na toota toot ke, zara zara
Zara sa silsila

Aa gaye paas hum
Saanson mein mehki hai, teri wafa

Maine hawa ke paron pe likha hai
Dewaane dil ka fasaana
Tu ne padha ke nahin jaan-e-jaana
Milke mujhe batlaana

Phoolon mein taaron mein
Saare nazaaron mein
Aankhon ne dekha hai chehra tera


Tip: You can learn the meanings of Maine Hawa Ke Paron Pe Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.


Lyrics provided on Lyricstaal.com are for reference and education purpose only. We don't promote copyright infringement instead, if you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Apple iTunes, Saavn and Gaana.

ADVERTISEMENT