Ravindra Jain

Hum Katha Sunate Song Lyrics

Hum Katha Sunate Song Lyrics

Singer :

Ravindra Jain

from the Movie Ramayana - The Epic - 2010, sung by Ravindra Jain. The song is composed by Ravindra Jain and the lyrics are penned by Ravindra Jain. Discover more from Year , songs lyrics...

Hum Katha Sunate Song Lyrics from Movie Ramayana – The Epic – 2010 sung by Ravindra Jain. Learn, Hum Katha Sunate Song Lyrics meaning in English/Hindi

Album: Ramayan (1987)
Singers: Ravindra Jain
Music Director: Ravindra Jain
Genres: Devotion
Director: Ramanand Sagar
Starring: Arun Govil, Deepika Chikhalia, Sunil Lahri, Sanjay Jog, Arvind Trivedi, Dara Singh, Vijay Arora, Sameer Rajda, Mulraj Rajda, Lalita Pawar

Hum Katha Sunate Song Lyrics

Om shree maha
Ganadhi patey namah
Om shree umamaheshawara bhya namah

Vaalmiki gurudeva ne
Kar pankaj teer naam
Sumire maat saraswati
Hum par ho khud sawaar
Maat peeta ki vandana
Karte baaram baar
Gurujan raaja praja
Jan naman karo svikaar

Hum katha sunate
Ram sakal gundham ki
Hum katha sunate
Ram sakal gundham ki
Yeh ramayan hai
Punya katha shrii ram ki

Jambu dweepebharat khande
Aryavarte bharat varshe
Ek nagari hai vikyat ayodhya naam ki
Yehi janma bhoomi hai
Param pujya shrii ram ki…
Hum katha sunate
Ram sakal gun dham ki
Yeh ramayan hai
Punya katha shrii ram ki……
Yeh ramayan hai
Punya katha shrii ram ki

Raghukul ke raja dharmatma
Chakravarti dashrath punyatma
Santati hetu yagya karvaya
Dharm yagya ka shubh phal paya
Nrip ghar janme char kumaraa
Raghukul deep jagat adhaara…
Charon bhratonke shubh naama
Bharat shatryghna lakshman rama…

Guru vashishtha ke gurukul jaake
Alpa kaal vidya sab paake
Puran huyi shiksha
Raghuvar puran kaam ki
Hum katha sunate
Ram sakal gun dham ki
Yeh ramayan hai
Punya katha shrii ram ki
Yeh ramayan hai
Punya katha shrii ram ki

Mruduswar komal bhavana
Rochak prastuti dhang
Ek ek kar varnan kare
Lav-kush ram prasang
Vishwamitr mahamuni raayi
Inke sang chale do bhai

Kaise ram tadka
Kaise naath ahilya taari
Munivar vishwamitra tab
Sang le lakshman ram
Siya swayamvar dekhne
Pahunche mithila dham

Janakpur utsav hain bhaari
Janakpur utsav hain bhaari
Apne var ka chayan
Karigi sita sukumari
Janakpur utsav hain bhaari

Janak raj ka kathin pran
Suno suno sab koi
Jo tode shiv dhanush ko
So sita pati hoye
Jo tore shiv dhanush kathor
Sab ki drishti ram ki oar
Ram vinaygun ke avtaar
Guruvar ki aagya siroddhar
Sehej bhaav se shiv dhanu toda
Janak suta sang naata joda

Raghuvar jaisa aur na koi..
Sita ki samata nahin hoyi
Jo kare parajit kaanti koti rati kaam ki
Hum katha sunate ram sakal gundham ki
Yeh ramayan hai punya katha siya ram ki

Sab par shabd mohini daali
Mantramugdha bhaaye sab nar naari
Yun din rain jaat hain beete
Lav-kush ne sab ke mann jeete
Van gaman sita haran hanumat milan
Lanka dehen ravan maran
Ayodhya punaraagaman
Sab vistar katha sunaayi
Raja ram bhaye raghuraai
Ram-raj aayo sukh daayi
Sukh samriddhi shrii gharghar aayi

Kaal chakra ne ghatna kram mein
Aisa chakra chalaya
Ram siya ke jeevan mein
Phir ghor andhera chaaya!!

Avadh mein aisa aisa ek din aaya
Nishkalank pe praja ne
Mithya dosh lagaya!!
Avadh mein aisa aisa ek din aaya

Chadi siya jab todke
Sab sneh-naatae moh ke
Pashan hridayonmein na
Angaare jage vidhroha ke
Mamtamayi maaonke
Aanchal bhi simat kar reh gaye
Gurudev gyan aur neeti ke
Sagar bhi ghat kar rehgaye….

Na raghukul na raghukul nayak
Koi na hua sia ka sahayak…
Maanavta ko kho baithe jab
Sabhya nagar ke vaasi
Tab sita ko hua sahayak
Van ka ek sanyaasi….

Un rishi param udaar ka
Valmiki shubh naam
Sita ko aashray diya
Le aaye nij dham..

Raghukul mein kuldeep jalaye..
Ram ke do sut siya ne jaaye..

Shrota gan jo ek raja ki putri hain
Ek raja ki putrvadhu hain
Aur ek chakravati samrat ki patni hain
Wohi maharani sita
Vanvaas ke dukho mein
Apne dino kaise kaat ti hain
Apne kul ke gaurav aur
Swabhimaan ki raksha karte huye
Kisi se sahayta maange bina
Kaise apna kaam woh swayam karti hain…
Swayam van se lakdi kaant ti hain
Swayam apna dhaan kootti hain
Swayam apni chakki peesti hain
Aur apni santaanonko
Swavalambi banane
Ki shiksha kaise deti hain
Ab uski karun jhaani dekhiye.

Janak dulari kulavadhu
Dasharath ji ki raj rani ho
Ke din van mein bitati hain……
Rehti thi gheri jise
Das- dasi aatho yam
Daasi bani apni
Udaasi ko chupati hain…
Dharam praveena
Sati param kulina sab
Vidhi dosh-hina
Jina dukh mein sikhati hain

Jagmata hari-priya lakshmi swarupa siya
Koonti te hain dhaan bhoj swayam banati hain
Kathin kulhadi leke lakdiya kaant ti hain
Karam likhe ko par kaant nahi paati hain…

Phool bhi uthana bhaari jis sukumari ko tha
Dukh bhari jeevan woh uthathi hain
Ardhangi raghuveer ki woh dhare dheer
Bharti hai neer neer jal mein nehlati hain

Jiske prajake apvaadon
Kuchakra mein
Peesti hai chaaki
Swabhiman bachati hain….
Paalti hain bachchonko
Woh karmayogini ke bhaati
Swavalambi safal banati hain
Aisi sita mata ki pariksh leti
Nithur niyati ko daya bhi nahi aati hain…

O…us dukhiya ke raj-dulaare…
Hum hi sut shrii ram tihaare….

O….sita maa ki aankh ki taare…ee …
Lav-kush hain pitu naam hamare….
He pitu bhagya hamare jaage
Ram katha kahe ram ke aage……


Tip: You can learn the meanings of Hum Katha Sunate Song Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.


Lyrics provided on Lyricstaal.com are for reference and education purpose only. We don't promote copyright infringement instead, if you enjoy the music then please support the respective artists and buy the original music from the legal music providers such as Apple iTunes, Saavn and Gaana.

ADVERTISEMENT