Singer :
Manna Dey
from the Movie Hindustan Ki Kasam - 1973, sung by Manna Dey. The song is composed by Madan Mohan and the lyrics are penned by Kaifi Azmi. Discover more from Year Romantic songs lyrics...(Manna Dey Begins)
Har taraf ab yahi afsaane hain
Hum teri aankhon ke dewane hain
Har taraf abb yahi afsaane hain
Itni sachchayi hai inn aankhon mein,
Khote sikke bhi khare ho jaaye
Tu kabhi pyaar se dekhe jo udhar,
Sukhe jungle bhi hare ho jaaye
Baag ban jaaye, jo veraane hain
Hum teri aankhon ke dewane hain
Har taraf ab yahi afsaane hain
Ek halka sa ishaara inka,
Kabhi dil aur kabhi jaan lutega
Kis tarah pyaas bujhegi uski,
Kis tarah uska nasha tootega
Jiski kismat mein yeh paimaane hain
Hum teri aankhon ke dewane hain
Har taraf abb yahi afsaane hain
Neechi najron mein hain kitna jaadu,
Ho gaye pal mein kayi khwaab jawan
Kabhi utthne kabhi jhukne ki ada,
Le chali jaane kidhar jaane kahan
Raste pyar ke, raste pyar ke anjaane hain
Hum teri aankhon ke dewane hain
Har taraf abb yahi afsaane hain
Tip: You can learn the meanings of Har Taraf Ab Yahi Afsaane Hain Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.