Singer :
Clinton Cerejo
from the Movie TE3N - 2016, sung by Clinton Cerejo. The song is composed by Clinton Cerejo and the lyrics are penned by Amitabh Bhattacharya. Discover more from Year Motivational songs lyrics...(Clinton Cerejo Begins)
Ghor andhera, kehta raha haar ja
Ek sitaara, maana nahi, na dara
Roshni ki, ek boond pe
Zinda raha woh, zinda raha woh
Zindagi ki, kuch doriyon ko
Jakde huye, kehta raha
Haq hai mujhe, jalne ka
Haq hai mujhe, jeene ke
Haq hai mera, ambar pe
Leke rahunga haq mera, leke rahunga haq mera
Karta hoon waada
(Instrumental Break)
Mere lahu ka, qatra abhi garm hai
Ek adhoora, mera abhi karm hai
Din mahine, har saal ki
Ginta raha woh, ginta raha woh
Honsle ki, kuch teeliyon ko
Pakde huye, kehta raha
Haq hai mujhe, jalne ka
Haq hai mujhe, jeene ke
Haq hai mera, ambar pe
Leke rahunga haq mera, leke rahunga haq mera
Karta hoon waada
Main jaanta hoon, mujhe aakhir
Ek na ek din, marna hai
Par jab talak bhi jiyun,
Ho jeena kaisa, tai karna hai
Mitti ki kaaya mein, lohe ka hai iraada
Haq hai mujhe, jalne ka
Haq hai mujhe, jeene ke
Haq hai mera, ambar pe
Leke rahunga haq mera, leke rahunga haq mera
Tu dekh lena
Tip: You can learn the meanings of Haq Hai Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.