Singer :
Rahat Fateh Ali Khan
from the Movie Dedh Ishqiya - 2014, sung by Rahat Fateh Ali Khan. The song is composed by Vishal Bhardwaj and the lyrics are penned by Gulzar. Discover more from Year Romantic, Sufi songs lyrics...(Rahat Fateh Ali Khan Begins)
Ruk ruk ke kehte hai
Jhuk jhuk ke rehte hai
Ruk ruk ke kehte hai
Jhuk jhuk ke rehte hai
Dil ka mizaaj, ishq yaar
Dil ka mizaaj, ishq yaar
Tanha hai logon mein,
Logon mein tanhai
Dil ka mizaaj, ishq yaar
Dil ka mizaaj, ishq yaar
Chotein bhi khaaye, aur gungunaaye
Aisa hi tha ye, aisa hi hai ye
Masti mein, rehta hai,
Mastana saudaayi
Dil ka mizaaj, ishq yaar
Arey, dil ka mizaaj, ishq yaar
(Instrumental Break)
Sharmeela sharmeela
Parde mein rehta hai
Dardon ke choke bhi
Chupke se sehta hai
Nikalta nahi hai, gali se kabhi
Nikal jaaye toh dil bhatak jaata hai
Arey bachcha hai aakhir,
Behak jaata hai…
Khwaabon mein rehta hai
Bachpan se harjaayi
Dil ka mizaaj, ishq yaar
Dil ka mizaaj, ishq yaar
(Instrumental Break)
Gusse mein balkhana
Gairon se jal jaana
Mushkil mein aaye toh,
Waadon se tal jaana
Ulajhne ki isko, yun aadat nahin
Magar bewafai, sharafat nahin
Ye jazbaati hoke, chalak jaata hai
Ishq mein hoti hai, thodi si garmaayi
Dil ka mizaaj, ishq yaar
Arey, dil ka mizaaj, ishq yaar
Ruk ruk ke, (ishq yaar)
Jhuk jhuk ke, (ishq yaar)
Ruk ruk ke kehte hai (kehte hai)
Jhuk jhuk ke rehte hai (rehte hai)
Ishq ishq ishq yaar…
Tip: You can learn the meanings of Dil Ka Mizaaj Lyrics in English/Hindi by hovering over the highlighted word.